Rose flower face pack for glowing and healthy skin
Rose flower face pack for glowing and healthy skin
Rose flower (gulab ka phul) dekhne me jitna sundar or khubsurat hota hai , usse kahin jyada usme aushadhiye gun bhi moujud hota hai. Rose flower ko ( king of the flower ) aise hi nahi kaha jata .Gulab ka phul apni sundarta ke saath saath ek natural jari buti bhi hai jo humari skin ke liye bahut faydemand hota hai.
# Skin ki clean karne me help karta hai gulab ka tel - Gulab ke tel me antioxidant or anti aging gun hota hai, jo twacha se radical hatane me humari help karta hai or humare skin . Yah tel skin ke rom chidro me gandgi jaamne se bachata hai or humare skin ko clean or healthy rakhta hai.

Rose flower me galic , tainic acid, or vitamin C ke saath saath anti aging gun bhi hote hai jo humare skin ke liye bahut hi beneficial hote hai.
Gulab ka phul humare skin ke liye bahut hi jyada achcha mana jata hai.Gulab me antisolar ageing gun hote hai jo humari skin se radical hatane me help karta hai or humare skin ke ph level ko sahi karta hai. Rose face pack skin ko naturally tarike se nikharta hai.
Rose face pack for glowing and healthy skin
#Rose flower and Honey facepack --------------Rose flower or honey face pack banane ke liye Gulab ki fresh pankhuriyon ko grinder me pees kar iska paste bana le .Isme ek chamach honey mix kar ke achchi tarah mila le. Phir is paste ko apne chehre par laga le . 20 mint baad apna chehra pani se dho le. Is pack se aapki skin me extra glow aata hai.Ise aap kabhi shaadi party ke liye use kare turant is pack ka effect aapke chehre par dikhne lagega.
Rose flower or chandan powder facepack -------Gulab phul or chandan powder facepack skin ke liye bahut hi beneficial hota hai .Is face pack ko banane ke liye Gulab ki pankhuriyon ko pees kar usme ek chamach chandan powder add kare or ek chamach gulab jal milaye iska ek paste banaye or apne chehre par laga kar 15 mint ke liye chhor de phir jab ye pack sukh jaye tab saade pani se apna chehra thande pani se dho le. Is pack se aapki skin glowing ho jayegi.
#Rose flower ,dahi or besan face pack ---------
Gulab phul dahi or besan face pack garmi ke dino me aapke skin ke liye bahut hi beneficial facepack hota hai. Is face pack se sun tan dur kar ke skin ki rangat ko wapas lane or skin ki sundarta ko badhane me bahut hi help milta hai. Is face pack ko banane ke liye Gulab phul ki fresh pankhuriyon ko pees le, usme ek chamach dahi milaye or do chamach besan milaye then isme thoda pani apni aawasyakta ke anusaar mila kar ek paste bana le. Or ise apne chehre or gardan par laga kar 15 mint ke liye chhor de jab ye pack sukh jaye tab saade pani se apna chehra dho le.
#Rose flower or alovera jel pacepack --------Gulab phul or alovera jel pacepack banane ke liye Gulab phul ki pankhuriyon ka paste bana lijiye then usme ek chamach alovera jel mix kijiye or iska ek paste bana lijiye .Is pack ko lagate waqt apni skin ki isse ek mint ke liye massage kare or ise aise hi apne chehre par 20 mint ke liye laga rahne de phir jab ye pack sukh jaye tab saade pani se apna chehra saaf kar lijiye .
# Rose flower or santre ke chilke ka face pack -------------Gulab ki pankhuriyon ko pees kar usme ek chamach santre ke chilke ka powder or ek chamach gulab jal milaye or iska paste bana le .ise apne chehre or gardan par lagaye 20 mint baad apna chehra dho le.
Gulab ka facepack skin ko naturally tarike se nikharta hai .Gulab ke phul face pack skin ke liye bahut faydemand hota hai .Gulab face pack skin ko naturally sundarta pradhaan karta hai.Aap in me se kisi bhi face pack ka istemaal karke apni skin ko or bhi jyada sundar or chamakdaar bana sakte hai.
Gulab tel ke fayde ( Benifit of rose oil )

# Pimples ko thik karta hai - Gulab ka tel pimples ko thik karne me bahut jyada helpful hai. Gulab ka tel pimples ko thik karne ke saath saath pimples ke daag dhabbo ko bhi hatane me bahut beneficial hota hai.
# Skin ko glowing or rediant banata hai Gulab ka tel - Gulab ka tel se roz massage karne se ye humare skin ko extra glowing banata hai. Gulab ka tel skin ke liye bahut faydemand hota hai.
#skin ko nami deta hai gulab ka tel - Gulab ka tel skin ko nami deta hai. Gulab ka tel skin ko nami deta hai .Gulab tel ke paryog se skin bahut jyada komal or mulayam ho jata hai. Skin se saare dead cells nikal jate hai or skin bahut sundar ban jati hai. Gulab ka tel skin ke liye vardan mana jata hai.Gulab ka tel age ko kam bana hai or humesha sad and jawan banaye rakhta hai.
Gulab tel se ghar baithe hi facial kaise kare
(How to rose facial at home )
Gulab tel se aap ghar baithe apne skin ko kaise nikhara hua or healthy bana sakte hai . Gulab ka tel skin ko naturally sundarta pradhaan karta hai. Toh chaliye jaante hai gulab tel se aap ghar baithe hi apne skin ko kaise nikhar sakte hai . Iske liye hume ek chota chamach chandan powder lena hoga usme gulab ka tel 4 drops or badam ka tel 2 drops milaye or ek chamach besan milayethen usme ek chamach alovera jel mix kare or iska paste bana le .Is paste ko 20 mint ke liye apne chehre or gardan par laga rahne de phir jab ye sukh jaye toh apne chehre ko pani se dho le. Yah facial har skin ke logon ke liye faydemand hota hai. Gulab ka tel apne naturally sundarta pradhaan karta hai. Gulab ka tel humare skin ke liye bahut hi jyada achcha mana jata hai .
## Gulab phul se ghar baithe night serum banaye ----------
Gulab phul ka serum banane ke liye raal gulab ki pankhuriyon ko grinder me pees le isme ek chamach alovera jel add kare, 2 vitamins E ki goli ka tel usme daale, 2 drops gilisrin add kar le. In sabko achchi tarah mix kar le. Ye night serum taiyaar hai ise aap raat ko sone se pahle apne skin ko achchi tarah clean karke lagaye or subah uth kar apna chehra pani se dho le. Aapki skin kuch hi dino me glowing or whitning honi suru ho jayegi.
I hope aap sabhi ko mera ye post pasand aaya hoga . Pasand aaya ho toh like kare , share kare . Main apne har post aisi Natural beauty tips ko lekar aati hu jisse aap logon ko jyada se jyada fayda ho . Main koi bhi post apne anovao ke aadhaar par likhti hu . Jisse chiz mujhe fayda hota hai main wo saari information aap sab ke saath share karti hu taki jisse mujhe fayda hua aap sabhi ko ho. Aapke koi bhi sawal ho use comments box me likh kar puch sakte hai .
Comments
Post a Comment