Curry leaves is useful for beauty and hair

. Curry patta is useful for beauty and hair 

Curry patta
 kai aushadhiye guno se bharpur hota hai. Curry patta ka use humare kichen me masale ke rup me kiya jata hai .  Curry patta se khane ka sawad badh jata hai. Curry patta humare skin ,hair or health ke liye bahut hi beneficial hota hai.  Curry patta ko mitti neem bhi bola jata hai. Curry patta ka use khane ke sawad or bhi badha deta hai. Curry patta ke use se khane ki khushbu or taste dono badh jata hai.  Curry patta khane ke sawad badhane ke saath saath humare skin , hair or health ke liye bhi bahut jyada faydemand hota hota hai .     Curry patta me iron, calcium or vitamin b 2 , b 6 or b 9  bhi paya jata hai jo humare hair or skin ke liye bahut hi faydemand hota hai.
    
       #    Curry leaves for hair--------- Curry patta humare baalo ke liye bahut hi faydemand mana jata hai. Curry patta ke use se hum apne baalo ka proper care kar sakte hai . Curry patta ke use se humare baal ghane, kaale or lambe bante hai.
Curry patta ka use humare baalo ko jharne se bachta hai .ye dandruff ko bhi dur karta hai. Curry patta humare baalo ko mazbut banane me bahut hi helpful hota hai. Baalo ki problem ko dur karne ke liye curry patta bahut hi beneficial hota hai.  Curry patta se hair mask banaye. Ise banane ke Curry patta ka paste bana le usme ek chamach alovera jel add kar le or 2 drops gilisrin add kare then ise achchi tarah mila kar apne baalo par laga kar 30 se 40 mint ke liye chhor de uske baad apne baalo ko pani se dho le . Ye hair mask baalo ke liye bahut hi beneficial mask hai . Isse baalo silky or shiny hote hai or ye mask dandruff ki problem ko bhi dur karne me humari help karta hai .
                 Curry patta or orange hair pack for strength and shiny hair --Curry patta or orange hairpack humare baalo strength or shiny banane me bahut hi madadgaar hai. Ise banane ke liye curry patta ka paste bana le then usme ek chamach orange jel add kare then ek chamach chandan powder add kar ke mix kar le or ise apne shampoo kiye baalo par comb ki help se laga kar 2 ghante ke liye aise chor de . Uske baad apne baalo ko dho le. Week me do baar is pack ko use kare . Baal pahle se jyada khubsurat hota jayenge.
           Curry patta ,Neem or Tulsi hair pack----- Curry patta, neem or tulsi hair pack humare baalo ke liye bahut hi useful face hai. Is hair pack se baalo ki infection, dandruff or allergy jaisi problems se nizat milti hai. Ye hair pack banane ke liye curry patta , neem or tulsi ke patto ka paste bana le isme ek choti chamach badaam tel add kare or isse achchi tarah mix kar le then apne baalo  par achchi tarah laga kar 1 ghante ke liye chhor de uske baad apne baalo ko dho le.
          # Curry patta for skin-------------  Curry patta humare skin ke liye vardan mana jata hai. Purane jamane me log apne chehre ko glowing banane ke liye natural chizo ki hi help lete the . Or unke skin par kabhi koi problem nahi  hoti thi. Curry patta humare skin ke liye bahut hi achcha mana jata hai. Iske use se pimple ko bhi dur kiya jata hai. Ye jhulriyon or humare chehre par parne wali lines ko bhi dur karne me humari bahut madad karta hai. Curry patta se bane face pack se humari skin ki sabhi problem ko dur kiya jaa sakta hai. Curry patta facepack banane ki vidhi.
  Curry patta  facepack for glowing skin----
            Curry patta humare skin tone ko fair or glowing banata hai. Face pack banane ke fresh Curry patta ko dho kar uska paste bana le usme  ek chamach multani mitti add kare or ek chamach dahi ise achchi tarah mix kare or apne face par laga le . 20 mint baad apna chehra pani se dho le

Comments

Popular Posts